Samjho ek class me static variable hai. To tum kitne bhi objects create karo, sab objects ke liye ye variable share hoga. Means tum obj1.staticVariable, obj2.staticVariable dekhogi to wo same hi hoga.
Static ka example ye hai ki - Samjho Bank class tumne banaya. Ab Bank me sab user ko interest rate to same hi milta hai. To tum Bank class me variable logi interestRate, par ise static rakhogi, ise ek baar set kar diya to Bank ke kitne bhi objects create karo, uska value same hi milega. Har ek object ke liye baar baar same interest rate set nahi karna padega.